Friday 12 June 2009

Do Pal Ka ...

Do Pal Ka Yeh Jeevan Hai
Kuch Karna Hai Tho Kar Guzro !!
Har Lamha Ek Sapna Hai
Kya Jaane Apna Ho Na Ho !!
~Unknown

Taqdeer Ka ...

Taqdeer Ka Likha Toh Mujhe Mil Jaaye Gaa,
Mere Aaqa Mujhe Woh Ata Kar Jo Mere Muqadaar Mein Nahin...
~Yunus Khan

Milatii Hai Khuu-e-Yaar Se ...

Milatii Hai Khuu-E-Yaar Se Naar Iltihaab Mein
Kaafir Huu.N Gar Na Milatii Ho Raahat Azaab Mein

Kab Se Huu.N Kyaa Bataauu.N Jahaa.N-E-Kharaab Mein
Shab Haaye Hijr Ko Bhii Rakhuu.N Gar Hisaab Mein

Taa Phir Na Intazaar Mein Nii.Nd Aaye Umr Bhar
Aane Kaa Ahad Kar Gaye Aaye Jo Khwaab Mein

Qaasid Ke Aate Aate Khat Ik Aur Likh Rakhuu.N
Mai.N Jaanataa Huu.N Jo Woh Likhe.Nge Jawaab Mein

Mujh Tak Kab Un Kii Bazm Mein Aataa Thaa Daur-E-Jaam
Saaqii Ne Kuchh Milaa Na Diyaa Ho Sharaab Mein

Jo Munkir-E-Vafaa Ho Fareb Us Pe Kyaa Chale
Kyuu.N Badagumaa.N Huu.N Dost Se Dushman Ke Baab Mein

Mai.N Muztarib Huu.N Vasl Mein Khauf-E-Raqiib Se
Daalaa Hai Tum Ko Vahm Ne Kis Pech-O-Taab Mein

Mai Aur Hizz-E-Vasl, Khudaa_Saaz Baat Hai
Jaa.N Nazr Denii Bhuul Gayaa Iztiraab Mein

Hai Tevarii Cha.Dii Huii A.Ndar Naqaab Ke
Hai Ik Shikan Pa.Dii Huii Tarf-E-Naqaab Mein

Laakho.N Lagaav, Ik Churaanaa Nigaah Kaa
Laakho.N Banaav, Ik Biga.Danaa Itaab Mein

Woh Naalaa Dil Mein Khas Ke Baraabar Jagah Na Paaye
Jis Naale Se Shigaaf Pa.De Aafataab Mein

Woh Sehr Muddaa Talbii Mein Na Kaam Aaye
Jis Sehr Se Safinaa Ravaa.N Ho Saraab Mein

'Ghalib' Chutii Sharaab, Par Ab Bhii Kabhii Kabhii
Piitaa Huu.N Roz-E-Abr-O-Shab-E-Maahataab Mein
~Mirza "Ghalib"

Thursday 11 June 2009

Kabhii Ai Haqiiqat-E-Muntazir ...

Kabhii Ai Haqiiqat-E-Muntazir Nazar Aa Libaas-E-Majaaz Mein
Ke Hazaaron Sajde Tadap Rahe Hain Terii Jabiin-E-Niyaaz Mein

Tarab Aashanaa-E-Kharosh Ho Tuu Navaa Hai Maharam-E-Gosh Ho
Woh Suruur Kyaa Ke Chhaayaa Huaa Ho Sukuut-E-Pardaa-O-Saaz Mein

Thu Bachaa Bachaa Ke Na Rakh Ise Teraa Aa_Iinaa Hai Woh Aa_Iinaa
Ke Shikastaa Ho To Aziiz Tar Hai Nigaah-E-Aa_Iinaa-Saaz Mein

Dam-E-Tauf Kar Mak-E-Shammaa Na Ye Kahaa Ke Woh Asr-E-Kohan
Na Terii Hikaayat-E-Soz Mein Na Merii Hadiis-E-Gudaaz Mein

Na Kahii.N Jahaa.N Mein Aman Milii Jo Aman Milii To Kahaa.N Milii
Mere Jurm-E-Khaanaakharaab Ko Tere Azo-E-Ba.Ndaa-Navaaz Mein

Na Woh Ishq Mein Rahii.N Garmiyaa.N Na Woh Husn Mein Rahii.N Shokhiyaa.N
Na Woh Gazanavii Mein Ta.Dap Rahii Na Woh Kham Hai Zulf-E-Ayaaz Mein

Jo Mai.N Sar-Ba-Sajdaa Kabhii Huaa To Zamin Se Aane Lagii Sadaa
Teraa Dil To Hai Sanam-Aashanaaa Tujhe Kyaa Milegaa Namaaz Mein
~Sir Allama Mohammad "Iqbal"

Uss Nazar Se ...

Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lage,
Koi Accha Bhi Iss Kadar Na Lage
Aap Ko Dekha Hai Bas Uss Nazar Se,
Jis Nazar Se Aap Ko Nazar Na Lage….
~Koi Dost

Geele' Kagaz Ki ...

Geele' Kagaz Ki Tarah Hai Zindagi Apni,
Koi Jalata Bhi Nahi,
Koi Bahata Bhi Nahi ...
Iss Kadar Akele Hai Dilki Raho Mei,
Koi Satata Bhi Nahi,
Koi Manata Bhi Nahi ...
~K Attalia

Unki Mohabbat Ke ...

Unki Mohabbat Ke Abhi Nishaan Baki Hai,
Naam Lab Par Hai...
Aur Jaan Baki Hai.
Kya Hua Agar Dekh Kar Muh Pher Lete Hai,
Tasalli Hai Ke Shakal Ki Pehchaan Baki Hai …
~Unknown

Aap Ki Yaad Mein ...

Aap ki Yaad Main Ashq Bharta Hai Koi,
Har Saans Ke Saath Tujhe Yaad Karta Hai Koi,
Maut Tho Haqiqat Hai... Aani Hai,
Lekin Teri Judaai Mein Har Roz Marta Hai Koi.
~Unknown

Aap Ki Ek ...

Aap Ki Ek Muskhurahat Ne Hamare Hosh Uda Diye….
Aap Ki Ek Muskhurahat Ne Hamare Hosh Uda Diye….
Hum Hosh Mein Aane Hee Wale The'
Ke Aap Phir Se Muskura Diye…
~Uknown

Tuesday 9 June 2009

Rone Se Aur Ishq Mein Be_Baak Ho Gaye

Rone Se Aur Ishq Mein Be_Baak Ho Gaye
Dhoye Gaye Ham 'Eise Ki Bas Paak Ho Gaye

Sarf-E-Baha-E-Mai Hue Aalaat-E-Maikashee
The; Ye Hee Do Hisaab, So Yon Paak Ho Gaye

Ruswa-E-Dahar Go Hue Aawaargee Se Tum
Baare Tabeeyaton Ke To Chaalaak Ho Gaye

Kehta Hai Kaun Naala-E-Bulbul Ko Be_Asar
Parde Mein Gul Ke Laakh Jigar Chaak Ho Gaye

Pooche Hai Kya Wujood-O-Adam 'Ehl-E-Shauq Ka
Aap Apnee Aag Se Khas-O-Khaashaak Ho Gaye

Karne Gaye The; Usse Taghaaful Ka Ham Gila
Kee Ek Hee Nigaah Ki Bas Khaak Ho Gaye

Is Dhang Se Uthaayee Kal Usne 'Asad' Ki Laash
Dushman Bhee Jisko Dekhke Ghamnaak Ho Gaye

Be_Baak ~ Outspoken/Bold, Paak ~ Pure/Clean/Holy, Sarf ~ Expenditure,
Baha ~ Value/Price, Mai ~ Bar, Aalaat ~ Instruments/Apparatus, Maikashee ~ Boozing,
Dahar ~ World, Baare ~ Atlast, Chaak ~ Slit/Torn, Wujood ~ Existence, Adam ~ Non Existence, Khas-O-Khaashaak ~ Destroyed, Taghaaful ~ Negligence, Gila ~ Complaint, Khaak ~ Dust/Ashes, Ghamnaak ~ Grief Stricken.

~ Mirza Asadullaa Nkhaan Ghalib