Tuesday, 28 April 2009

Qareeb Unke Aane Ke Din Aa Rahe Hain ...

Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain
Qariib Unke Aane Ke Din Aa Rahe Hain

Jo Dil Se Kahaa Hai, Jo Dil Se Sunaa Hain
Sab Unko Sunaane Ke Din Aan Rahe Hain

Abhii Se Dil-O-Jaan Sar-E-Raah Rakh Do
Ki Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain

Tapakne Lagii Un Nigaahon Se Mastii
Nigaahen Churaane Ke Din Aa Rahe Hain

Sabaa Phir Hamen Puuchhtii Phir Rahii Hai
Chaman Ko Sajaane Ke Din Aa Rahe Hain

Chalo Faiz Phir Se Kahiin Dil Lagaayen
Sunaa Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain
~Faiz Ahmad Faiz

Zakhm Jhele

Zakhm Jhele, Daagh Bhii Khaaye Bohat
Dil Lagaa Kar Ham To Pachhtaaye Bohat

Dair Se Suu-E-Haram Aaya Na Tuk
Ham Mizaaj Apnaa Idhar Laaye Bohat

Phuul, Gul, Shams-O-Qamar Saare Hii The
Par Hamen Unmen Tum Hii Bhaaye Bohat

Gar Bukaa Is Shor Se Shab Ko Hai To
Rovenge Sone Ko Hamsaaye Bohat

Miir Se Puuchha Jo Main Aashiq Ho Tum
Ho Ke Kuchh Chupke Se Sharmaaye Bohat
~Mir Taqi Mir

Saturday, 25 April 2009

Ab Tho Jaate Hai ....

Ab Tho Jaate Hai, But_Kade Se, 'Mir'
Phir Milenge, Agar Khudaa Laayaa
~Mir Taqi Mir

But_Kadaa = House Of The Beloved (Quite Apt !!)

Berukhi Ke Saath

Berukhi Ke Saath Sunanaa, Dard-E-Dil Ki Daastaan
Aur Tera, Haathon Me Wo, Kangan Ghumaanaa Yaad Hai
~ Ghulam Ali


Waqt-E-Rukhsat Alwidaa Ka Labz Kehane Ke Liye
Wo Tere Sukhe Labon Ka, Thartharaanaa Yaad Hai
~ Ghulam Ali

Waqt-E-Rukhsat = At The Time Of Parting

Surprisingly enough, there are two more Marvelous Shers, I remember hearing from Ghulam Ali, which are not present in the book.

Friday, 24 April 2009

Hain Aur Bhi Duniya Mein Sukhanwar Bahut Achay ...

Hain Aur Bhi Duniya Mein Sukhanwar Bahut Achay….
Kehatay Hain Ke Ghalib Ka Andaaz-e-Bayan Aur…

Har Ek Baat Pe Kehatay ho Thum, Ke Thu kya hai…
Thumhi kaho Ke, Yeh Andaz-e-Guftagoo Kya Hai…

Ragon Mein Daurthe’ Firnae Ke Hum Nahin Kayal…
Jab Aankh hese’ Na Tapka Tho Phir Lahoo Kya Hai…
~ Mirza Asadullaa Nkhaan Ghalib

Thursday, 23 April 2009

Swahili Sayings ...

"Subira Huleta Heri."
"Patience brings blessing / success."

Pyar Aajata Hain ....

Pyar Aajata Hain Ankhon Mein Rohne Se Pehle…
Har Khwab Toot Jata Hai Sone Se Pehle...

Ishq hai Gunaah Yeh Tho Samajh Gaya....
Kaash Koi Rok Letha Gunaah Hone Se Pehle ……

Wednesday, 22 April 2009

Usingizi

Usingizi... Nautafuta Siupati... Si Usiku Si Mtana
Wanipita Wakati Na Mato Nimeyabana
Silali Siwafiti Na Gomba Sijatafuna
Leo Hii Ni Wiki Wallahi Sijaufumba
Na Wala Sishikiki Najifungia Na Chumba
Natafuna Mishakiki Pilau Na Kachumba
Wale Wano Fikiri Nisemayo Ni Porojo
Musitit Sukari Kwenye Wali Wa Pojo
Mutalewa Chakari Yawatoke Mikojo
Hapa Mangi Sikalimu Yatosha Naloyaamba
Na Kama Nimeshtumu Poleni Nawaomba
Mimi Sina Wazimu Nikinya Najitamba
Usingizi ... Nautafuta Siupati... Si Usiku Si Mtana

Poetry in Swahili

Bura Na Maan

'Ghalib', Bura Na Maan, Jo Vaaiz Bura Kahe
Aisa Bhi Koi Hai, Ki Sab Achchha Kahe Jise
~ Mirza Asadullaa Nkhaan Ghalib

But as GHalib himself said ...
vaaiz = orthodox/pious

Zamaanaa Bade' Shauq Se'

Zamaanaa Bade' Shauq Se' Sun Rahaa Thaa
Hamin So Gaye, Daastaan Kehate Kehate
~Saaqib

Ye Masaa'il-E-Tasawwuf

Ye Masaa'il-E-Tasawwuf, Ye Tera Bayaan, 'Ghalib',
Tujhe Hum Wali Samjhate, Jo Na Baadaa_Khwaar Hota !
~Mirza Asadullaa Nkhaan Ghalib

Masaa'il-E-Tasawwuf = Problems In Philosophy (Mysticism/Suffism)
Bayaan = Comments
Wali = Saint (Rishi)
Baadaa_Khwaar = Drunken

But_Kadaa

Ab Tho Jaate Hai, But_Kade Se, 'Mir'
Phir Milenge, Agar Khudaa Laayaa
~ Mir Taqi Mir

But_Kadaa = House Of The Beloved

Tuesday, 21 April 2009

Yaani Nimechoka

Nimechoka Na Mat Zimechoka
Nimechoka Na Madame,
Wamechoka Na Bado Wana Misuse Make Up,
Si Wa Meze Choka
Nimechoka Na Wazee,
Wamechoka Na Bado Wanataka Masupuu,
Si Waulize Machokaa, Yaani, Fred Obachi
Nimechoka Na Machokoraa,
Kwa Chochoro Wakisorora Na Kupigana Ngata
Yaani, Nimechoka.
~ NW-Kenyanpoet

A little Nairobi’s Shenge style Swahili Poetry.

Mkoloni

Nimejibu, Nimeuliza,
Mkoloni, Ninini Alilofikiria
Kuvunja, Kufuja, Kufutilia, Hata Lugha
Yote Kupotea
Mila Desturi, Fikira Maudhui
Ukweli Tuliojua
Uongo Tumejivalisha
Koti, Shati, Tai, Kwa Ukoloni
Twajidai
~ James Adolwa

A little 1960's style Swahili Poetry.

Unko Aata Hai Pyar Pe Ghussa

"Unko Aata Hai Pyar Pe Ghussa,
Hume Ghusse Pe Pyaar Aata Hai."
~ Amir Minai

The Sher was written almost 100 years ago by the Shayar of the ultra-famous Ghazal "Aahista Aahista".

Dohra ~ Bulleh Shah

"Pi sharaab Tey Kha kabab, Heth Baal Haddaan di aag,
Bulleha... Bhan Ghar Rab Da,
Ais Thuggan de Thug noo Thug."
~ Bulleh Shah

"Drench yourself in wine and feast on roasted flesh, roasting in the fires flaming out of the bones.
O Bulleha, break into the house of God
and swindle the cheat of cheats."

Heer ~ Waris Shah

"Awal Hamad Khuda Da Vird Karye
Ishq kita su jag da mool mian
Pehlan aap hi rabb ne ishq kita
Te mashooq he nabi rasool mian"
~ Waris Shah

Monday, 20 April 2009

Dukh

Dukh Bol Ke Je Dasya .....
...... Te' Ki Dasya .... ?

Saturday, 18 April 2009

Khuda Humko Aisi Khudai Nah De’

Khuda Humko Aisi Khudai Nah De’
Keh Apne Siva Kuch Dekhai Nah De’
Khuda Humko Aisi Khudai Nah De’
~Chitra Singh

Na Yeh Baat Hogi

Hume' Kya Pata Tha,
Na yeh baat hogi,
Na Who Baat Hogi!

Sirf Intezaar Hogi!

Safar Mein Dhoop Tho Hogi

Safar Mein Dhoop Tho Hogi
~Jo Chal Sako, Tho Chalo

Sabhi Hai Bheed Mein Thum Bhi
~Nikal Sako, Tho Chalo

Safar Mein Dhoop Tho Hogi
~Jo Chal Sako, Tho Chalo

Kisi Ke Waaste Raahein, Kahan Badalti Hain
~Thum Apne Aap Ko Khud Hi Badal Sako, Tho Chalo

Safar Mein Dhoop Tho Hogi
~Jo Chal Sako, Tho Chalo

Yahan Kisi Ko Koi Raasta Nahin Detha
~Mujhe Gira Ke, Agar Thum Sambhal Sako, Tho Chalo

Safar Mein Dhoop Tho Hogi
~Jo Chal Sako, Tho Chalo

Yahi Hai Zindagi, Kuch Khwaab Channd Umeedein
~Inhi Khilono Se Thum Bhi Bahel Sako, Tho Chalo

Safar Mein Dhoop Tho Hogi
~Jo Chal Sako, Tho Chalo

Sabhi Hai Bheed Mein Thum Bhi
~Nikal Sako, Tho Chalo

Safar Mein Dhoop Tho Hogi
~Jo Chal Sako, Tho Chalo
~Chitra Singh

Misra ~ K Attalia
Nikal Parde Hai ... Woh Khud Garz Hein,
Thum Dekh Tho Lo Kisi Ke Waaste Thum Khud Nikal Sako, Tho Chalo

Friday, 10 April 2009

Dekhane Waalon ~ Tabassum

Dekhane Waalon, Tabassum ko Karam mat samjho!
Unhe tho Dekhane' Waalon pe' haNsi aati hai
~Sudarshan 'Faaqir'

It is a common misunderstanding that GHazal is all about "dard-e-dil", "bewafaai", "shamaa-parwaanaa", "beKHudi-e-husn-o-sharaab" etc. Those who have read GHalib know better. But still few know that Shayars are capable of jokes in their own way. tabassum = smile

Yeh Kin Nazaron Se'

Yeh kin nazaron Se' aaj tumane dekhaa,
Ke teraa dekhanaa,
dekhaa na jaaye
~Ahmed Faraz

Isi Kuche Mein Kahin

Isi kuche mein kahin,
uske Shanaasa rehate haiN
wo kisi aur se milane ke bahaane aaye.
~Parveen Shakir

Kuche ~ Street
Shanaasa ~ Aquaintee

Shayad

Shayad mujhe nikaal ke,
pachhata rahe ho aap mehfil mein iss Khayaal se,
phir aah gayaa huN meiN....
~Hameed Adam