Sunday, 25 January 2009

Masoom Mohabbat Ka Fasana

Masoom Mohabbat ka Fasana.
Masoom si Mohabbat ka bus itna sa Fasana hai
Kagaz ki Haweli hai, Baarish ka Zamaana hai

Kya Shart-e-Mohabbat hai, kya Shart-e-Zamana hai
Aawaz bhi Zakhmi hai aur wo Geet bhi gana hai

Uss paar utrne ki Umeed bohot kam hai
Kashti bhi Puraani hai, Toofaan bhi aana hai.

Samajhe ya na samjhe wo Andaaz-e-Mohabbat ka
Ek khaas ko Aankhon se ek sher sunaana hai

Bholi si ada, koi phir Ishq ki Zid per hai
Phir Aag ka Darya hai.. Aur Doob ke jane Ka

Saturday, 24 January 2009

Ek Thruff ... ~ K Attalia

Ek Thruff Jarian Thi
Ek Thruff Kabarstaan
Ek Thruff Jarian Thi
Ek Thruff Kabarstaan
Ek Raat, Ek Musaffir Chalte’ Chalte’ Ek Haadi Se Takrae’
Ek Raat, Ek Musaffir Chalte’ Chalte’ Ek Haadi Se Takrae’
Haadi Ne Kaha….
Eh Saab... Zara Sambal Ke…..
Hum Bhi Kabhi Insaan The’ ~ K Attalia

Ye Na Thee Hamaree Qismat ~ Mirza Ghalib

Ye Na Thee Hamaree Qismat Ke Wisaal-E-Yaar Hota
It Was Not In My Fate To Meet My Lover
Agar Aur Jeete Rehte Yahee Intezaar Hota
Had I Lived Longer, This Would Still Be My Only Desire

Tere Waade Par Jiye Ham To Ye Jaan Jhoot Jaanaa
To Live On Your Promise Is To Make My Life A Lie
Ke Khushee Se Mar Na Jaate Agar 'Eitabaar Hota
Would I Not Have Died Of Happiness If I Trusted It

Teree Naazukee Se Jaana Ke Bandha Tha 'Ehed_Booda
From Your Frailty I Learnt That The Promise Was Delicate
Kabhee Too Na Tor Sakta Agar Oostuwaar Hota
It Would Not Stand Broken Had You Been Determined

Koee Mere Dil Se Pooche Tere Teer-E-Neemkash Ko
Someone Ask Me About Your Half-Drawn Arrow
Ye Khalish Kahaan Se Hotee Jo Jigar Ke Paar Hota
Would I Even Feel This Pain If It Had Pierced My Heart

Ye Kahaan Ki Dostee Hai Ke Bane Hain Dost Naaseh
What Kind Of Friendship Is This, That Friends Are Now Advisers
Koee Chaarasaaz Hota, Koee Ghamgusaar Hota
Someone Should Ease My Pain, Someone Sympathize With Me

Rag-E-Sang Se Tapakta Wo Lahoo Ki Phir Na Thamta
From Every Nerve Drips Blood Without Restraint
Jise Gham Samajh Rahe Ho, Ye Agar Sharaar Hota
As If That Which You Think Is Anguish Is But A Spark

Gham Agarche Jaan_Gulis Hai, Per Kahaan Bachain Ke Dil Hai
Threatening As Love Is, There Is No Deliverance From The Heart
Gham-E-Ishq Gar Na Hota, Gham-E-Rozgaar Hota
If Not The Torment Of Love, It Would Be The Torment Of Life

Kahoon Kis Se Main Ke Kya Hai, Shab-E-Gham Buree Bala Hai
Whom Shall I Narrate The Pangs Of These Evenings Of Sorrow
Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Baar Hota
I Would Have Not Resented This Death, Had It Come Only Once

Hue Mar Ke Ham Jo Ruswa, Hue Kyon Na Gharq-E-Dariya
That I Died And Was Disgraced, Why Was I Not Just Drowned
Na Kabhee Janaaza Uthata, Na Kaheen Mazaar Hota
Never Was There A Funeral, No Where Was A Tomb Erected

Usay Kaun Dekh Sakta Ke Yagaana Hai Wo Yaktaa
Who Can See Him Since His Oneness Is Without Peer
Jo Dooee Ki Boo Bhee Hotee To Kaheen Do Chaar Hota
Even The Scent Of His Duality Would Be An Introduction

Ye Masaail-E-Tasawwuf, Ye Tera Bayaan 'Ghalib'!
This Mysticism, These Statements Of Yours Ghalib
Tujhe Ham Walee Samajhate, Jo Na Baada_Khwaar Hota
You Would Be A Saint, If Only You Were Not Inebriated

God Didn't Promise


Ishq Mein Bhi

Ishq mein bhi merna itna asaan nahi
zaat ko radd kerna itna asaan nahi

Mujh mein essi hi koi khami dekhi hugi uss ne
Tark-e-wafa verna itna asaan nahi

Aik dafa tu pass-e-maseeha ker jaye
Zakham ka phir bherna itna asaan nahi

Jane kab shuhrat ke zeena deh jaye
Pauoon yahaan dherna asaan nahi

Merne ki dehshat tu sab ne dekhi hai
jeene se darna itna asaan nahi.

Aap Ka Deewana Dip

Monday, 19 January 2009

Maa Teri Yaad ~ K Attalia

Maa teri yaad satha thi hai,
mere paas ahjaao,
Thak gaya hoon,
mujhe apne aanchal main sulao,
Ungliyaan apni pher kar baalon main mere,
Ek baar phir se bachpan ki loriyaan sunaao !!!

Maa ~ K Attalia

Maa Ke Qadmon Mein Sukoon Aaj Bhi Milta Hai Mujhey…
Maa Ki Turbat Se’ Duaaon Ki Sada Aaj Bhi Aati Hai

Mana Ke Teri

Mana Ke Teri Deed Ke Qabil Nahi Hoon Mein
Tu Mera Shouq Dekh
Mera Intezaar Dekh

Maa ~ K Attalia

Kabhi bhi apni maa'n ka dil na dukhao,
que ke' maa woh azim hasti hai jis ke wajood se' duniya kyam hai.....
Mein duniya mein swaye' maa kee, aur koi Tasweer nahi dekh saktha...
Ek Hazim rishta maa ka hai...
Maa ....

Toot Jaate' Hein Sabhi Rishte' Magar

Toot Jaate Hein Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah
Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki

Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.

Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai

Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To
Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi

Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi

Ek Musafir Ne Raat Pichlay Pahar
Apne Mehboob Ke Na Aane Par
Kar Diya Taj Mahal Ke Tukre
Aab-E-Jamuna Main Phaik Kar Pathar

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main

Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan

Hum Bewafa Har Giz Na Thay
Par Hum Wafa Kar Na Sakay
Humain Mili Us Ki Saza
Jo Khata Hum Kar Na Sakay

Khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai

Waqt Nahi

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.

Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Lori Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.

Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi.

Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.

Dil Hai Gamon Se Bhara,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daur Me Aise Daur,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.

Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.........

Sunday, 18 January 2009

Aisi Aankhein Nahin Dekhi

Aisi Aankhen Nahin Dekhi, Aisa Kaajal Nahin Dekha
Aisa Jalwa Nahin Dekha, Aisa Chehra Nahin Dekha

Aisi Duniya Nahin Dekhi, Aisa Manzar Nahin Dekha
Aisa Aalam Nahin Dekha, Aisa Dilbar Nahin Dekha

Uske Kangan Ka Khalakna Jaise Bulbul Ka Chahekna
Uski Paazeb Ki Chham Chham Jaise Barsaat Ka Mausam

Aisa Saawan Nahin Dekha, Aisi Baarish Nahin Dekhi
Aisi Rimjhim Nahin Dekhi, Aisi Khwaahish Nahin Dekhi

Jab Yeh Daaman Ki Hawa De, Aag Jungle Mein Laga De
Jab Yeh Saheraaon Mein Jaaye, Ret Mein Phool Khilaaye

Uski Bebaaq Si Baatein Jaise Sardi Ki Ho Raatein
Uff Yeh TanhaaiEMasti Jaise Toofaan Mein Kashti

Meethi Koyal Si Hai Boli Jaise Geeton Ki Rangoli
Surkh Gaalon Pe Paseena Jaise Phaagun Ka Maheena
Aisi Aankhen Nahin Dekhi

Aisa Jalwa Nahin Dekha...
Aisa Chehra Nahin Dekha

Kuch Masoom Say Jazbey Hain,
Kuch UnDekhay Sapney Hain,
Mager Woh Naheen Janti Shayad...!!!
Meri Bhi Zindagi To .............Hai..!!!!!!
Aisi Aankhen Nahin Dekhi

Mein Bhi Hasna Chahta Hoon

Mein Bhi Hasna Chahta Hoon. Mujhe Ek Muskaan Do
Khushi Ki Choti Si Leher. Mujhe Kahi Se La Do

In Bandisho Ki Bediyo Se Mujhe Ab Aaraam Do
Ji Lo Mein Apni Zindagi Ke Kuch Pal Apne Liye ..................
Mujhe Yeh Ehsaan Do

Chal Chal Bhete Pani Ki Tarah Mein Bhi Khulke Baai Jao
Hawa Ke Mahin Jhuko Si Mein Bhi Har Pal Lehrao ..................
Khulke Ke Uddo Khulke Ke Jiyou.

Badalo Ke Beech Us Bante Chehre Ko Mein Kahi Se Cho Jao
Kitna Tadpata Mujhko. Usko Yeh Jaakar Batlao
Uski Khuli Baaho Me. Mein Jaakar Sama Jao
Is Jag Se, Har Tadpati Yaad Se. Khud Ko Bisrao

Woh Dhond Hai Badlo Ki Badlo Mein Mil Jaayega
Yeh Raasta Bahoot Lamba Hai Woh Kahi Kho Jaayega
Kho Na Do Mein Usko Mujhe Yeh Pal Paan Do

Mein Bhi Hasna Chahta Ho. Mujhe Ek Muskaan Do
Khushi Ki Choti Si Lehar. Mujhe Kahin Se La Do

Koi Kuch Bhi Na ...

Koi Kuch Bhi Na Kahai Tho Pata Kya Hai
Iss Bechain Khamoshi Ki Wajah Kya Hai
Unhain Ja Ke Koi Kahai Hum Le Lenge Zahar Bhi
Woh Sirf Yeh Tho Bata Dain Meri Khata Kya Hai.......

Woh Mujhse Meri ...

Woh Mujhse Meri Udhasiyon Ki Wajah Poochti Hain
Kitni Pagal Hain Raat Ke Sannate Ki Wajah Poochti Hain........ ..

Woh Mujhse Mere Aasuo Ki Wajah Poochti Hain
Kitni Pagal Hain Baarish Ke Barasne Ki Wajah Poochti Hain......

Woh Mujhse Meri Pasand Ke Baare Mein Poochti Hain
Kitni Pagal Hain Khud Hi Ke Baare Mei Poochti Hain.......

Woh Mujhse Meri Wafa Ki Inteha Poochti Hain
Kitni Pagal Hain Sagar Kinare Khade Samundar Ki Gehraai Poochti Hain........ ....

Thum Ko Iss Se' Kya

Tooti Hai Meri Neend Magar'
Thum Ko Iss Se Kya

Bajte Rehein Havaoon Se Der'
Thum Ko Iss Se Kya

Tum Mauj Mauj Misle Sabaa Ghoomte Raho Kat Jaein Meri Soch Ke Per'
Thum Ko Iss Se Kya

Auroon Ka Haath Thamo' Inhe Raasta Dikhao Mein Bhool Jaoon Apna Hi Kher
Thum Ko Iss Se Kya

Tum Ne To Thak Ke Dasht Mein Kheme Laga Liye Tanha Kate Kisi Ka Safar'
Thum Ko Iss Se Kya