Sunday, 18 January 2009

Mein Bhi Hasna Chahta Hoon

Mein Bhi Hasna Chahta Hoon. Mujhe Ek Muskaan Do
Khushi Ki Choti Si Leher. Mujhe Kahi Se La Do

In Bandisho Ki Bediyo Se Mujhe Ab Aaraam Do
Ji Lo Mein Apni Zindagi Ke Kuch Pal Apne Liye ..................
Mujhe Yeh Ehsaan Do

Chal Chal Bhete Pani Ki Tarah Mein Bhi Khulke Baai Jao
Hawa Ke Mahin Jhuko Si Mein Bhi Har Pal Lehrao ..................
Khulke Ke Uddo Khulke Ke Jiyou.

Badalo Ke Beech Us Bante Chehre Ko Mein Kahi Se Cho Jao
Kitna Tadpata Mujhko. Usko Yeh Jaakar Batlao
Uski Khuli Baaho Me. Mein Jaakar Sama Jao
Is Jag Se, Har Tadpati Yaad Se. Khud Ko Bisrao

Woh Dhond Hai Badlo Ki Badlo Mein Mil Jaayega
Yeh Raasta Bahoot Lamba Hai Woh Kahi Kho Jaayega
Kho Na Do Mein Usko Mujhe Yeh Pal Paan Do

Mein Bhi Hasna Chahta Ho. Mujhe Ek Muskaan Do
Khushi Ki Choti Si Lehar. Mujhe Kahin Se La Do

No comments:

Post a Comment