Friday, 29 May 2009

Meri Aankhon Mein ...

Meri Aankhon Mein Ye Ashkon Ka Dariya Na Hotha ...
Agar Thu Ishq Mein Iskadar Bewafaa Na Hotha ...
Sumbhal Liya Hotha Maine Iss Toote Dil Ko Kisi Tarha Agar Thu Apne Khadmon Se' Ise' Raunda Na Hotha ...

Sunday, 24 May 2009

Ab Ke Hum Bichre' Tho Shayad ...

Ab Ke Hum Bichre’ Tho Shayad Kabhi Khabon Mein Milein
Jis Tarhan Sookhay Huay, Phool Kitabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ Tho Shayad Kabhi Khabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ ...

Dhond Ujre’ Huay Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane’ Thuje Mumkin Hai Kharabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ Tho Shayad Kabhi Khabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ ...

Tu Khuda Hai Na Mera Ishq FarshThon Jaisa
Donon Insaan Hain Tho Kyon Itna Hijaabon Mein Milein
Jis Taran Sookhay Huay Phool Kitabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ Tho Shayad Kabhi Khabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ ...

Ghum E Dunya Bhi Ghum E Yar Mein Shamil Kar Lo
Nasha Barhta Hai Sharab e’ Jo Sharabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ Tho Shayad Kabhi Khabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ ...

Ab Na Wo Mein Hon Na Tu Hai Na Wo Mazi Hai Faraz
Jaisay Do Saaay Tamanna Ke Sarabon Mein Milaein
Jis Taran Sookhay Huay Phool Kitabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ Tho Shayad........
~ Mehdi Hassan Snr

Wednesday, 13 May 2009

Zindagi Mein Tho Sabhi ...

Zindagi Mein Tho Sabhi, Pyar Kiya Kartein Hai
Mein Tho Mar Ke Bhi Meri Jaan, Thuje Chahoon Ga.

Thu Mila Hai Tho, Yeh Ahsaas Hua Hai Mujhko…
Yeri Meri Umar Mohobbat Ke Liye Thori Hai

Ek Zara Sa Ghame Doran Ka Bhi Haq Hai Thuj Par…
Maine Woh Saans Bhi Tere Liye Rakh Choori Hai
Thuje Pe Hojaunga Qurban Thuje Chahunga….
Mein Tho Mar Ke Bhi Meri Jaan, Thuje Chahoon Ga.
Zindagi Mein Tho Sabhi, Pyar Kiya Kartein Hai

Apne Jazbad Mein Nagmat Rachne Ke Liye X3
Maine Darkhan Ke Taran.. Dil Mein Basya Hai Thuje
Main Tasvoor Bhi Judai Ka, Bhala Kaise Karoon….
Maine Kismat Ki Lakeeron Se Churaya Hai Thuje…..
Pyar Ka Ban Ke Nigheban Thuje Chaoonga
Mein Tho Mar Ke Bhi Meri Jaan, Thuje Chahoon Ga.
Zindagi Mein Tho Sabhi, Pyar Kiya Kartein Hai

Teri Har Chaap Se, Jalte Hai Khayalon Mein Chirag
Jab Bhi Thu Ayee, Jagatha Hua Jadoo Ayee
Thujko Chuloon Tho Phire’n Jaane Tamana Mujhko
Dher Thak Apne Badan Se Teri Khusboo Ayee
Thu Baharon Ka….. Hai, Unvan Thuje Cahoonga
Mein Tho Mar Ke Bhi Meri Jaan, Thuje Chahoon Ga.
Zindagi Mein Tho Sabhi, Pyar Kiya Kartein Hai.
~Mehdi Hassan Snr

Monday, 11 May 2009

Confidence

“It's easy to be Confident when you have control of the puck.
It's very difficult to keep that Confidence when you have to take whatever strange bounces life throws your way.
Don't be careless, but don't be too careful either.
You cannot be afraid to lose.
That's how you gain the Confidence - attack the game when the puck isn't yours.”
~D3: The Mighty Ducks, Film (1996)*

Meherban Hoke' Bulalo Mujhe ~ Ghalib

Meherbaan Hoke Bulalo Mujhe, Chaho Jis Waqt
Mein Gaya Waqt Nahin Hoon, Ke Phir Ahbhi Na Sakoon.

Zauf Mein Taanah-E Agyaar Ka Shikvah Kya Hai
Baat Koi Sar-Tho Nahin Hai, Ke Utha Bhi Na Sakoon.

Zehar Milta Hi Nahin Mujhko Sitamgar,
Varna Kya Kasam Hai Tere Milne Ki, Ke Kha Bhi Na Sakoon.
~ Mirza Asadullaa Nkhaan Ghalib

Maa Ki Har Baat Yaad Aayegi

Jab Umar Tumhe Tumhari
Uss Mod Par Le Jaegi
Tab Dekhna Tumhe Yaad
Maa Ki Har Baat Wo Aayegi

Wo Baat Baat Bar Poochna
Ke Kahin Tum Bhooke To Nahin
Baat Dil Mein Hei, Mujhse Kaho
Kahin Mujhse Roothe To Nahin

Koi Aisa Gham Koi Aisa Dukh
Bhala Mujhe To Tum Batao Beta
Iss Chand Se Chehre Se Tum
Aansoon Ko To Hatao Beta

Jab Tum Pareshaan Se Hote Ho
Meri Raton Ki Neend Udh Jaati Hei
Aankhon Se Mere, Aansoon Ki Ladi
Dua Ban Ke Rab Ke Paas Jaati Hei

Jab Mein Na Hoon Pareshaan Mat Hona
Meri Baton Ko Yaad Kar Ke Mat Rona
Iss Dunya Mein Kahan Koi Raha Hei Sada
In Aankhon Ko Beta Tum Mat Bhigona

Mayoosion Ke Jab Chaye Badal Hon
Apne Dil Par Haath Rakh Lena Tum
Band Kar Ke Apni Aankhon Ko Phir
Ho Jana Meri Un Yadon Mein Ghum

Mein Janti Hoon Tumhari Yadon Mein
Mein Kabhi Bhi Marr Nahi Paongi
Jitna Bhi Tum Bhoolna Chaho Mujhe
Mein Utna Hi Tumhe Yaad Aaongi
~ Unknown

Children

Your children are not your children.
They are the sons and daughters of Life's longing for itself.

They come through you but not from you,
And though they are with you yet they belong not to you.

You may give them your love but not your thoughts,
For they have their own thoughts.

You may house their bodies but not their souls,
For their souls dwell in the house of tomorrow,
Which you cannot visit, not even in your dreams.

You may strive to be like them,
But seek not to make them like you.

For life goes not backward nor tarries with yesterday.

You are the bows from which your children as living arrows are sent forth.

The archer sees the mark upon the path of the infinite,
And He bends you with His might that His arrows may go swift and far.

Let our bending in the archer's hand be for gladness;
For even as He loves the arrow that flies,
So He loves also the bow that is stable.
~ Kahlil Gibran

Wednesday, 6 May 2009

Expression

"Of All The Things You Wear,
Your Expression Is The Most Important"
~ Unknown

Sorry for Myself ...

"I Once Felt Sorry For Myself Because I Had No Shoes;
Until I Met A Man With No Feet"
~ Unknown

Saturday, 2 May 2009

Dil Tujhko Yaad Kartha Hai

Dil Tujhko Yaad Kartha Hai
Mere Rokhne Ke Baad,
Hum Kuch Bhi Soch Pathe Nahin,
Thujhe Sochne’ Ke Baad.

Thujhe Ehsaas Tho Hoga,
Kuch Apni Bewafai Ka,
Kabhie Tho Sochthe Honge,
Hum’e Thanhayee Mein Who Bhi,
As’ar Kuch Tho Hu’a Hoga,
Dil Pe Hamari Judai Ka.
~ Unknown