Ab Ke Hum Bichre’ Tho Shayad Kabhi Khabon Mein Milein
Jis Tarhan Sookhay Huay, Phool Kitabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ Tho Shayad Kabhi Khabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ ...
Dhond Ujre’ Huay Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane’ Thuje Mumkin Hai Kharabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ Tho Shayad Kabhi Khabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ ...
Tu Khuda Hai Na Mera Ishq FarshThon Jaisa
Donon Insaan Hain Tho Kyon Itna Hijaabon Mein Milein
Jis Taran Sookhay Huay Phool Kitabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ Tho Shayad Kabhi Khabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ ...
Ghum E Dunya Bhi Ghum E Yar Mein Shamil Kar Lo
Nasha Barhta Hai Sharab e’ Jo Sharabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ Tho Shayad Kabhi Khabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ ...
Ab Na Wo Mein Hon Na Tu Hai Na Wo Mazi Hai Faraz
Jaisay Do Saaay Tamanna Ke Sarabon Mein Milaein
Jis Taran Sookhay Huay Phool Kitabon Mein Milein
Ab Ke Hum Bichre’ Tho Shayad........
~ Mehdi Hassan Snr
No comments:
Post a Comment