Saturday, 4 July 2009

Aai Chaand ...

Aai Chaand Teri Khoobsoorti Mein Kya Rakha Hai,
Ek Daag Jo Thune Apne Seene Mein Chupa Rakha Hai,
Aise’ Kaee Daag Mere Seene Mein Bhi Hain
Maine Har Daag Main Ek Chaand Chupa Rakha Hai.

Arre Yaaro ...

Banane Mein Mazaa Hai, Woh Karkhaane Jaanthe Hain
Pilane Mein Jo Mazaa Hai, Woh Meh-Khaane Jaanthe Hain
Jalne Mein Jo Mazaa Hai, Woh Parwaane Jaanthe Hain
Arre Yaaro… Pyar Mein Jo Mazaa Hai, Woh Deewaane Jaanthe Hain

Angoor Ki Beti ...

"Angoor Ki Beti Ne Utha Rakhi Hai Duniya Sar Par"
"Acha Hua Angoor Ka Beta Na Hua"

Jab Bikha Na Tha ...

Jab Bikha Na Tha .. Tho Kuch Na Tha
Aap Ne Kareed Ke …. Anmol Kar Diya.

Wednesday, 1 July 2009

Kabhi Mausam, Kabhi Gurbat Ka ...

Kabhi Mausam Kabhi Gurbat Ka Rakhna Daal Deti Hai
Ye Meri Buzdili Raste Me Kya Kya Daal Deti Hai

Nayi Tahzeeb Ki Aandhi Me Itni Bhi Ganimat Hai
Abhi Beti Ke Sir Par Ma Dupatta Daal Deti Hai

Garibi Tujhse Jalim Shay Bhi Duniya Me Nahi Dekhi
Gale Me Roz Ek Khwaish Ka Fanda Daal Deti Hai

Duboo Degi Mujhe Maloom Hai Dariya Ki Tugyani
Meri Zidd Fir Bhi Tufaan Me Safina Daal Deti Hai

Amiri Ko Kahin Chahat Agar Mazboor Karti Hai
To Vo Chote Gharane Me Bhi Rishta Daal Deti Hai

Koi Bhi Tabsira Karne Ki Zurrat Hi Nahi Karta
Ye Shauhrat Bhi Mere Aiboo Pe Parda Daal Deti Hai
~ Vahid Kiratpuri

Taqdeer Ka Likha ...

Taqdeer Ka Likha Toh Mujhe Mil Jaaye Gaa,
Mere Aaqa Mujhe Woh Ata Kar Jo Mere Muqadaar Mein Nahin...
~Yunus Khan

Do Pal Ka ...

Do Pal Ka Yeh Jeevan Hai
Kuch Karna Hai To Kar Guzro !!
Har Lamha Ik Sapna Hai
Kya Jaane Apna Ho Na Ho !!

Be Grateful ...

“Aso Shukuru Kidogo, Hato Shukuru Kikubwa”
“One Who Is Not Grateful For Small Things,
Will Not Be Grateful For Bigger Things.”

Life ...

“Chenye Mwanzo Hakikosi Mwisho”
“What Has A Beginning Has An Ending…”