Wednesday, 1 July 2009

Kabhi Mausam, Kabhi Gurbat Ka ...

Kabhi Mausam Kabhi Gurbat Ka Rakhna Daal Deti Hai
Ye Meri Buzdili Raste Me Kya Kya Daal Deti Hai

Nayi Tahzeeb Ki Aandhi Me Itni Bhi Ganimat Hai
Abhi Beti Ke Sir Par Ma Dupatta Daal Deti Hai

Garibi Tujhse Jalim Shay Bhi Duniya Me Nahi Dekhi
Gale Me Roz Ek Khwaish Ka Fanda Daal Deti Hai

Duboo Degi Mujhe Maloom Hai Dariya Ki Tugyani
Meri Zidd Fir Bhi Tufaan Me Safina Daal Deti Hai

Amiri Ko Kahin Chahat Agar Mazboor Karti Hai
To Vo Chote Gharane Me Bhi Rishta Daal Deti Hai

Koi Bhi Tabsira Karne Ki Zurrat Hi Nahi Karta
Ye Shauhrat Bhi Mere Aiboo Pe Parda Daal Deti Hai
~ Vahid Kiratpuri

1 comment: