Sunday 18 January 2009

Aisi Aankhein Nahin Dekhi

Aisi Aankhen Nahin Dekhi, Aisa Kaajal Nahin Dekha
Aisa Jalwa Nahin Dekha, Aisa Chehra Nahin Dekha

Aisi Duniya Nahin Dekhi, Aisa Manzar Nahin Dekha
Aisa Aalam Nahin Dekha, Aisa Dilbar Nahin Dekha

Uske Kangan Ka Khalakna Jaise Bulbul Ka Chahekna
Uski Paazeb Ki Chham Chham Jaise Barsaat Ka Mausam

Aisa Saawan Nahin Dekha, Aisi Baarish Nahin Dekhi
Aisi Rimjhim Nahin Dekhi, Aisi Khwaahish Nahin Dekhi

Jab Yeh Daaman Ki Hawa De, Aag Jungle Mein Laga De
Jab Yeh Saheraaon Mein Jaaye, Ret Mein Phool Khilaaye

Uski Bebaaq Si Baatein Jaise Sardi Ki Ho Raatein
Uff Yeh TanhaaiEMasti Jaise Toofaan Mein Kashti

Meethi Koyal Si Hai Boli Jaise Geeton Ki Rangoli
Surkh Gaalon Pe Paseena Jaise Phaagun Ka Maheena
Aisi Aankhen Nahin Dekhi

Aisa Jalwa Nahin Dekha...
Aisa Chehra Nahin Dekha

Kuch Masoom Say Jazbey Hain,
Kuch UnDekhay Sapney Hain,
Mager Woh Naheen Janti Shayad...!!!
Meri Bhi Zindagi To .............Hai..!!!!!!
Aisi Aankhen Nahin Dekhi

No comments:

Post a Comment