Saturday 24 January 2009

Ishq Mein Bhi

Ishq mein bhi merna itna asaan nahi
zaat ko radd kerna itna asaan nahi

Mujh mein essi hi koi khami dekhi hugi uss ne
Tark-e-wafa verna itna asaan nahi

Aik dafa tu pass-e-maseeha ker jaye
Zakham ka phir bherna itna asaan nahi

Jane kab shuhrat ke zeena deh jaye
Pauoon yahaan dherna asaan nahi

Merne ki dehshat tu sab ne dekhi hai
jeene se darna itna asaan nahi.

Aap Ka Deewana Dip

No comments:

Post a Comment