Thursday, 11 June 2009

Kabhii Ai Haqiiqat-E-Muntazir ...

Kabhii Ai Haqiiqat-E-Muntazir Nazar Aa Libaas-E-Majaaz Mein
Ke Hazaaron Sajde Tadap Rahe Hain Terii Jabiin-E-Niyaaz Mein

Tarab Aashanaa-E-Kharosh Ho Tuu Navaa Hai Maharam-E-Gosh Ho
Woh Suruur Kyaa Ke Chhaayaa Huaa Ho Sukuut-E-Pardaa-O-Saaz Mein

Thu Bachaa Bachaa Ke Na Rakh Ise Teraa Aa_Iinaa Hai Woh Aa_Iinaa
Ke Shikastaa Ho To Aziiz Tar Hai Nigaah-E-Aa_Iinaa-Saaz Mein

Dam-E-Tauf Kar Mak-E-Shammaa Na Ye Kahaa Ke Woh Asr-E-Kohan
Na Terii Hikaayat-E-Soz Mein Na Merii Hadiis-E-Gudaaz Mein

Na Kahii.N Jahaa.N Mein Aman Milii Jo Aman Milii To Kahaa.N Milii
Mere Jurm-E-Khaanaakharaab Ko Tere Azo-E-Ba.Ndaa-Navaaz Mein

Na Woh Ishq Mein Rahii.N Garmiyaa.N Na Woh Husn Mein Rahii.N Shokhiyaa.N
Na Woh Gazanavii Mein Ta.Dap Rahii Na Woh Kham Hai Zulf-E-Ayaaz Mein

Jo Mai.N Sar-Ba-Sajdaa Kabhii Huaa To Zamin Se Aane Lagii Sadaa
Teraa Dil To Hai Sanam-Aashanaaa Tujhe Kyaa Milegaa Namaaz Mein
~Sir Allama Mohammad "Iqbal"

No comments:

Post a Comment