Tuesday, 9 June 2009

Rone Se Aur Ishq Mein Be_Baak Ho Gaye

Rone Se Aur Ishq Mein Be_Baak Ho Gaye
Dhoye Gaye Ham 'Eise Ki Bas Paak Ho Gaye

Sarf-E-Baha-E-Mai Hue Aalaat-E-Maikashee
The; Ye Hee Do Hisaab, So Yon Paak Ho Gaye

Ruswa-E-Dahar Go Hue Aawaargee Se Tum
Baare Tabeeyaton Ke To Chaalaak Ho Gaye

Kehta Hai Kaun Naala-E-Bulbul Ko Be_Asar
Parde Mein Gul Ke Laakh Jigar Chaak Ho Gaye

Pooche Hai Kya Wujood-O-Adam 'Ehl-E-Shauq Ka
Aap Apnee Aag Se Khas-O-Khaashaak Ho Gaye

Karne Gaye The; Usse Taghaaful Ka Ham Gila
Kee Ek Hee Nigaah Ki Bas Khaak Ho Gaye

Is Dhang Se Uthaayee Kal Usne 'Asad' Ki Laash
Dushman Bhee Jisko Dekhke Ghamnaak Ho Gaye

Be_Baak ~ Outspoken/Bold, Paak ~ Pure/Clean/Holy, Sarf ~ Expenditure,
Baha ~ Value/Price, Mai ~ Bar, Aalaat ~ Instruments/Apparatus, Maikashee ~ Boozing,
Dahar ~ World, Baare ~ Atlast, Chaak ~ Slit/Torn, Wujood ~ Existence, Adam ~ Non Existence, Khas-O-Khaashaak ~ Destroyed, Taghaaful ~ Negligence, Gila ~ Complaint, Khaak ~ Dust/Ashes, Ghamnaak ~ Grief Stricken.

~ Mirza Asadullaa Nkhaan Ghalib

No comments:

Post a Comment